sabhi rishton ke darwaze muqaffal ho rahe hain hamare bich jo raste the daldal ho rahe hain abhi to dasht aae aur phir is ke baad jangal abhi se kyon tumhaare panw bojhal ho rahe hain zamane baad soya hun mujhe sone do kuchh pal adhure khwab the jitne mukammal ho rahe hain ye kaisi be-hisi ki dhul hum par chha rahi hai khud apni zindagi se hum moattal ho rahe hain thakan ab aap ki aankhon mein jamti ja rahi hai so ab hum aap ki nazron se ojhal ho rahe hain 'nabil' utra hai kaisa dil-ruba mausam zamin par ki jitne nim the basti mein sandal ho rahe hain