ruh ko rahat hui gham dur sara ho gaya

ruh ko rahat hui gham dur sara ho gaya
kaun mere dil mein ya-rab jalwa-ara ho gaya

jab juda mujh se wo mera mah-para ho gaya
raushni jati rahi andher sara ho gaya

rasm-o-rah aisi badhao jis se sab aagah hon
tum hamare ho gae aur main tumhaara ho gaya

main jo kahta tha ki mujh se zabt ho sakta nahin
raaz fash aakhir tumhaara aur hamara ho gaya

tir-e-mizhgan us ne jab sidha kiya meri taraf
dil mushabbak ho gaya sina do-para ho gaya

kya lage dil qumri-o-shamshad-o-gul ka bagh mein
un ko teri qamat-o-rukh ka nazara ho gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close