ruh ko to ek zara si raushni darkar hai jism ko lekin bahut kuchh aur bhi darkar hai aaj phir hum se kiya daryaft koh-e-tur ne is se kya kahte ki nur-e-gumrahi darkar hai baad mein ishq-e-haqiqi bhi mayassar ho to kya ye majazi to hamein fauran abhi darkar hai ishq us khwahish pe meri soch mein gum ho gaya mujh ko pani bhi hai darkar aag bhi darkar hai farhat-ehsas apni mitti ka dhadakta dil sambhaal baad marne ke jo tujh ko zindagi darkar hai