utri hai aasman se jo kal utha to la taq-e-haram se shaikh wo botal utha to la laila ke dil mein qais nikal aaegi jagah tu sar par aaj najd ka jangal utha to la dhona hai dagh-e-jama-e-ehram subh subh hujre se shaikh pani ki chhagal utha to la mujh ko bhi intizar tha abr aae to piyun saqi agar ye sach hai ki baadal utha to la wo husn-e-waza dekhenge kyunkar jude hain dil zar-gar nai bani hai jo haikal utha to la taq-e-haram mein shaikh gulabi hai phul si is kaam ka milega tujhe phal utha to la ban jae din ye tira-shab-e-hijr ai nadim raushan tha jis se tur wo mashal utha to la main kaam lunga abr ka ai rind tan kar tu mujh faqir-e-mast ka kambal utha to la ai shaikh mez se dam-e-iftar farsh par pine ko phul khane ko kuchh phal utha to la naseh ka munh ho band chakha dun sharab-e-khuld saqi zara 'riyaz' ki botal utha to la