ruh mein ghor andhere ko utarne na diya hum ne insan mein insan ko marne na diya tere baad aisi bhi tanhai ki manzil aai ki mera sath kisi rahguzar ne na diya kaun tha kis ne yahan dhup ke baadal barsae aur tere husn ki chandi ko nikharne na diya pyas ki aag lagi bhuk ki aandhi utthi hum ne phir jism ka shiraaza bikharne na diya zindagi kashmakash-e-waqt mein guzri apni din ne jine na diya raat ne marne na diya ashk barsae kabhi khun bahaya hum ne gham ka dariya kisi mausam mein utarne na diya