faqir kis darja shadman the huzur ko kuchh to yaad hoga huzur kis darja mehrban the huzur ko kuchh to yaad hoga wo mai-kada tha sanam-kada tha ki bab-e-jannat khule hue the tamam shab aap hum kahan the huzur ko kuchh to yaad hoga wahan bahaaron ke zamzame the wahan nigaron ke jamgathe the wahan sitaron ke karwan the huzur ko kuchh to yaad hoga pahan ke phulon ke taj sar par hasin-o-shadab masnadon par subu-ba-kaf kaun hukmaran the huzur ko kuchh to yaad hoga marahil-e-rahat-o-aman the masail-e-mah-o-kahkashan the mashaghil-e-harf-o-dastan the huzur ko kuchh to yaad hoga agarche shauq-o-talab the be-sakhta ham-aghoshiyon pe mail kai takalluf bhi darmiyan the huzur ko kuchh to yaad hoga latif shamen tabiaton ke zamir se khub aashna thin hasin sawere mizaj-dan the huzur ko kuchh to yaad hoga nazar ki had tak muhit tha silsila mahakte hue gulon ka gulon mein pariyon ke ghar nihan the huzur ko kuchh to yaad hoga ajib sanche ki kashtiyan bah rahi thin lahron ke zer-o-bam par ajib surat ke baadban the huzur ko kuchh to yaad hoga uluhiyat aap is hasin ittifaq par muskura rahi thi sanam khudaon ke mehman the huzur ko kuchh to yaad hoga jo waqiye the wo gunjte zamzamon ke manind maujzan the jo khwab the sarw-e-bostan the huzur ko kuchh to yaad hoga kahin kahin salsabil o kausar ki jot maujud thi zamin par kahin kahin arsh-o-asman the huzur ko kuchh to yaad hoga shab-e-mohabbat huzur ki kakulon ke khulne ke silsile mein 'adam' ke israr kya jawan the huzur ko kuchh to yaad hoga