ruh meri alag hai jaan alag zat ka na-tawan makan alag har taraf phailti hui kirnen ek andhere ka khandan alag ek zarra hun aur kuchh bhi nahin hun bahut kuchh hai ye guman alag qaid hain aankh mein kai sapne aur hai fikr ki udan alag ek taraf shor khana-e-dil mein aql rahti hai be-zaban alag kar raha hai nasib ki baaten aur tadbir par hai man alag dubte tairte hue qisse aur hairat ki dastan alag