natija tajassus ka behtar bhi hai mashaqqat ki tah mein muqaddar bhi hai nadi par karna hi kafi nahin abhi raste mein samundar bhi hai agar ghar ko chhoden to jaen kahan qayamat to khidki se bahar bhi hai gulabon ka dhoka na khae koi azizon ki jholi mein patthar bhi hai nahin nind aankhon mein tujh bin meri khunuk raat hai tan pe chadar bhi hai batao zamane mein 'athar' tumhein sukun ek din ko mayassar bhi hai