ruh meri jis KHane mein hai us KHane ka kya hoga

ruh meri jis khane mein hai us khane ka kya hoga
main to shahr chala jaunga virane ka kya hoga

tere sar ko duniya walon ke kandhe mil jaenge
mere bare mein bhi soch mere shane ka kya hoga

duniya likhne wale ne bas duniya likh ke chhod diya
ab duniya wale sochen is afsane ka kya hoga

maut hamein wapas le jaegi ye bas khush-fahmi hai
hum duniya mein aa to gae hain ghar jaane ka kya hoga

ek parinda aisa bhi hai jo ye socha karta hai
jal ke andar chhut gaya jo us dane ka kya hoga

main to thik hun lekin mere andar jo ye 'rizwi' hai
aksar socha karta hun is diwane ka kya hoga

aur ziyaada khud par wahshat tari mat kije 'shahbaz'
duniya jo tai karti hai us paimane ka kya hoga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close