raqs karte hue nazare hain sath mein chand hai sitare hain

raqs karte hue nazare hain sath mein chand hai sitare hain
aankh mein raushni ke dhaare hain sath mein chand hai sitare hain

is tasalsul mein is rawani mein lash thahri hui hai pani mein
bulbulen hath panw mare hain sath mein chand hai sitare hain

un ki aankhon mein khwab-e-duniya hai rukh hai ya aaftab-e-duniya hai
meri aankhon mein bas sharare hain sath mein chand hai sitare hain

gardish-e-waqt ka wajud wo khwab apni khatir hai hast-o-bud wo khwab
tum hamare ho hum tumhaare hain sath mein chand hai sitare hain

sare gham-khwar hain charaghon ke sab azadar hain charaghon ke
subh se hum bhi jang haare hain sath mein chand hain sitare hain

raushni kab mujhe mayassar hai tirgi hi mera muqaddar hai
yun to jugnu bhi dher sare hain sath mein chand hai sitare hain

dil mein ummid-e-wasl jagi hai aarzu nange panw bhagi hai
aasman mein kuchh abr-pare hain sath mein chand hai sitare hain

zindagi khwahishon ke malbe se de rahi hai hamein sada 'shahbaz'
hum kisi jhil ke kinare hain sath mein chand hai sitare hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close