ruh-o-badan ki na-hamwari badhti jati hai duniya mein aa kar dushwari badhti jati hai waqt se sirf itna hi hota hai ki waqt ke sath nasl-e-adam ki makkari badhti jati hai jhagda kam nahin hota hai kufr-o-islam ke beach allah aur iblis ki yari badhti jati hai jitna ziyaada badhta hai bahar tamiri kaam indar utni hi mismari badhti jati hai khatm hua jata hai dakhl-e-dil sab kaamon se aur duniya ki hisse-dari badhti jati hai bandar se insan bane the ab insan se kya rozana ye fikr hamari badhti jati hai aadmi hote jate hain sab pagal-pan ka shikar aur mashinon ki hushyari badhti jati hai