rujua banda ki hai is tarah khuda ki taraf phire zamir-e-khabar jaise mubtada ki taraf baid kya hai murawwat se teri ai shah-e-husn nigah-e-lutf se dekhe jo tu gada ki taraf kahan wo zulf kahan khun-e-nafa-e-ahu jo mushk samjhe hain wo log hain khata ki taraf ulajh ke shane se khata hai saikdon jhatke qusur se ye tere gesu-e-rasa ki taraf khuda ne dard-e-mohabbat ata kiya hai jise use tawajjoh-e-khatir nahin dawa ki taraf mala jo tum ne lahu dast-o-pa mein aashiq ka na hoga mel tabiat ko phir hina ki taraf karega yar meri jang-e-ghair mein imdad jo aashna hain wo hote hain aashna ki taraf firaq-e-yar mein rahta hai yun tasawwur-e-gor khayal jaise musafir ka ho sara ki taraf na hoga ham-safar-e-ruh paikar-e-khaki ye su-e-arz-e-rawan hoga wo sama ki taraf bahut kharab raha but-kade mein ai 'atish' khuda-parast hai chal khana-e-khuda ki taraf