ruKH o zulf par jaan khoya kiya

rukh o zulf par jaan khoya kiya
andhere ujale mein roya kiya

hamesha likhe wasf-e-dandan-e-yar
qalam apna moti piroya kiya

kahun kya hui umr kyun-kar basar
main jaga kiya bakht soya kiya

rahi sabz be-fikr kisht-e-sukhan
na jota kiya main na boya kiya

barhaman ko baaton ki hasrat rahi
khuda ne buton ko na goya kiya

maza gham ke khane ka jis ko pada
wo ashkon se hath apne dhoya kiya

zanakhdan se 'atish' mohabbat rahi
kunen mein mujhe dil duboya kiya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close