rujua karte hue apne muddaa se main tere alawa bhi kuchh mang lun khuda se main koi charagh agar ho mere taaqub mein thakan sametta jaun nuqush-e-pa se main faqir hun isi kuche mein khak phankta hun sada laga nahin sakta magar haya se main rukunga ja ke kisi khub-ru ki chaukhat par gali mein phul khilata hua dua se main kabhi kabhi yunhi apne se puchh leta hun kisi ke khoj mein nikla tha kab saba se main mere baghair mukammal nahin hai ye duniya ki is qaziye mein shamil hun ibtida se main shaguft hota hua aaina hai dil mera mere khuda abhi mahfuz hun riya se main ragon mein barf bani nind ke pighalne par tumhein pukarte niklunga nainwa se main suna hai rah mein hote hain saya-dar shajar kabhi milunga kisi dard-ashna se main laga rahunga yunhi wasl ki tag-o-dau mein marun ki zinda rahun aap ki bala se main gulab khilne lage hain meri rag-o-pai mein kahunga ja ke chaman mein kabhi saba se main hadaf banaun kisi surma ko ab 'sajid' tamam umr na ladta rahun hawa se main