tumhaare ghar se pas-e-marg kis ke ghar jata batao aap se jata to main kidhar jata nahin hai koi bhi sathi tumhaare mujrim ka pukar uthte sab aaza jo main mukar jata ajal ke bhes mein meri talash kar lete wo aap dhund ke khud late mein jidhar jata takallufat-e-mohabbat ne qaid kar rakkha har ek samt thi diwar main kidhar jata kabhi na samne aata zalil kahla kar jo wo bulate to main apne nam par jata bhala chhupae se chhupta lahu shahidon ka ye khun bol hi uthta jo tu mukar jata 'munir' fazl jo karta musabbab-ul-asbab main karbala-e-mualla mein jald gar jata