ruk ruk ke kabhi mud ke tujhe dekh raha hun main teri judai se bahut khauf-zada hun us shakhs se milne ki jasarat hi nahin ki khwabon ke dariche se jise jhank raha hun main tundi-e-haalat se khaif nahin hota ai khak-nashino main bagulon mein pala hun duri ki koi lahr na le jae baha kar chahat ke samundar mein safar kar to raha hun ek samt andhera hai to ek samt kadi dhup haalat ke ek aise dorahe pe khada hun har samt nae dukh ke samundar ki sada hai main tark-e-talluq ke jazire pe khada hun tum qat-e-marasim pe ho aamada to kya hai ye zahr to ek umr se main chat raha hun aaegi mere jism se ikhlas ki khushbu main phul hun aur pyar ki tahni pe saja hun