chand ki awwal kiran manzar-ba-manzar aaegi sham dhal jaane do shab zina utar kar aaegi mere bistar tak abhi aai hai wo khushbu-e-khwab rafta rafta bazuon mein bhi badan bhar aaegi jaane wo bolega kya kya aur bari ho jaega kuchh sununga main to sab tohmat mere sar aaegi wo khadi hai ek riwayat ki tarah dahliz par sair ka bhi shauq hai lekin na bahar aaegi yun ki tujh se dur bhi hote chale jaenge hum jaante bhi hain sada teri barabar aaegi kya khada naddi kinare dekhta hai wusaten kya samajhta hai koi mauj-e-samundar aaegi kya ajab hote hain baatin raston ke silsile koi bhi zindan ho 'bani' raushni dar aaegi