ruka hun kis ke wahm mein mere guman mein nahin charagh jal raha hai aur koi makan mein nahin wo tair-e-nigah bhi safar mein sath hai mere ki jis ka zikr tak abhi kisi udan mein nahin meri talab mere liye malal chhod kar gai jo shai mujhe pasand hai wahi dukan mein nahin koi ajib khwab tha agar main yaad kar sukun koi ajib baat thi magar wo dhyan mein nahin wo dushmani ki shan se mile to dil mein rah gae magar ye baat dosti ki aan-ban mein nahin main rizq-e-khwab ho ke bhi usi khayal mein raha wo kaun hai jo zindagi ke imtihan mein nahin wo khwab sham-e-hijr mein sahar ki aas tha mujhe magar wo tere wasl ki khuli aman mein nahin