umr baqi rah-e-jaanan mein basar hone ko hai aaj apni sakht-jaani sang-e-dar hone ko hai aalam-e-piri mein hai dagh-e-jawani ka farogh ye charagh-e-sham khurshid-e-sahar hone ko hai aamad-e-piri mein ghaflat hai jawani ki wahi nind se aankhen nahin khultin sahar hone ko hai hum ko ruswa kar ke ruswai se bachna hai muhaal tu bhi tashhir ai nigah-e-fitna-gar hone ko hai dagh-e-isyan ek taraf ashk-e-nadamat ek taraf nuh ke tufan se jang-e-sharar hone ko hai kaun si dhun ho gai dekhen dil-e-sad-pash ko ye shikasta saz kis naghme ka ghar hone ko hai khalwat o kasrat mein mujh se puchhti hai bekasi us taraf ho jaun main bhi tu jidhar hone ko hai yusuf-e-mazmun ko lae fikr-e-kuhna ai 'munir' ye zulekha naujawan bar-e-digar hone ko hai