ruka na gham ka jo sail-e-rawan to kya hoga utha badan se agarche dhuan to kya hoga dayar-e-ishq mein aane ko aa to jaun magar mila na aap ka nam-o-nishan to kya hoga utar rahe hain falak se hayat ke jugnu junun mein dhal gae wahm-o-guman to kya hoga libas-e-nau mein hai gulshan ka har shajar lekin agar khizan ne liya imtihan to kya hoga zaban pe pahra khirad ne laga diya hai magar lahu ne de diya apna bayan to kya hoga badan ko aaina tum ne bana liya to kya kisi ne khol di apni zaban to kya hoga abhi nihan hai har ek zakhm-e-dil lahu mein 'qamar' mahak utha jo ye zakhm-e-nihan to kya hoga