sar uthae hain aasman kai main akela hun aur kaman kai haal duniya ka puchhiye mujh se mujh mein rahte hain khandan kai har qadam imtihan hai mera ho gae mere mehrban kai be-zaban ho gae parinde jab nazr-e-atish hue makan kai log aaina us ko kahte hain munh mein rakhta hai jo zaban kai zindagani tere siwa bhi aur hum ko dene hain imtihan kai main sunaun magar kahan se 'qamar' mujh mein pinhan hain dastan kai