ruke hue hain jo dariya unhen rawani de tu apne hone ki mujh ko koi nishani de palat ke dekh lun tujh ko to sang ho jaun mere yaqin ko aisi koi kahani de main shah-kar hun tera to ai khuda ek din ye muzhda aa ke mere ru-ba-ru zabani de wo mere khwabon ko aankhon se chhin leta hai use na shahr-e-tamanna ki hukmarani de samundaron pe baras kar na ho fana baadal jo log pyase hain un ke labon ko pani de hai tang meri nazar mein ye kaenat teri mere khuda mujhe idrak-e-la-makani de main khali hath milun tujh se kis tarah yarab kitab sine pe mere bhi aasmani de