tujh se qarib-tar teri tanhaiyon mein hun dhadkan hun tere qalb ki gahraiyon mein hun dukh hai ki teri zat mein shamil tha main kabhi aur aaj tere jism ki parchhaiyon mein hun khud-bin na ban baghaur zara aaina to dekh main bhi to tere husn ki ranaiyon mein hun latka hun main salib pe har ahd ki tarah is jurm par ki waqt ki sachchaiyon mein hun jab se gira hun us ki nigahon se ai 'zafar' har bazm mein haqir hun ruswaiyon mein hun