rukh-e-zeba dikhaya ja raha hai mujhe phir aazmaya ja raha hai bahut dilkash hai manzar chandni ka nigahon mein samaya ja raha hai thaharte hi nahin palkon pe aansu tumhein dil se bhulaya ja raha hai badal kar mere afsane ka unwan zamane ko sunaya ja raha hai chalo hum bhi chalen mahfil mein us ki har ek apna paraya ja raha hai charaghon ki lawen tharra rahi hain dhuan har samt chhaya ja raha hai 'jamal' achchhi nahin itni udasi kaleja munh ko aaya ja raha hai