rukh hi badal diya hai gham-e-rozgar ka ye hausla hai kis ke dil-e-be-qarar ka ai baghban na phul ko chutki se yun masal yaad aaega bahut hi zamana bahaar ka ai mere ishq tu hi bata kya jawab dun wo haal puchhte hain dil-e-be-qarar ka hum ne tumhaare ishq mein wo dagh khae hain sine ka dagh dagh hai daman bahaar ka tera jamal-e-husn ki mera junun-e-ishq afsane ko na bakhsh de unwan dar ka dar par nigah hath gareban pe dam-ba-khud main ek mujassama hun tere intizar ka misl-e-kalim husn se chashmak nahin pasand hum jaante hain jit mein pahlu hai haar ka kab us ke naqsh-e-pa pe na meri jabin jhuki 'jauhar' raha hai mujh pe karam kirdgar ka