yun pahunchna hai mujhe ruh ki tughyani tak jis tarah rassi se jata hai ghada pani tak katni padti hai nakhun se takan ki zanjir yun hi aati nahin mushkil koi aasani tak zindagi tujh se banae hue rishte ki hawas mujh ko le aai hai duniya ki pareshani tak aise jarrahon ka qabza hai sukhan par afsos kar nahin sakte jo lafzon ki musalmani tak apne andar main kiya karta hun raja ki talash is wasile se pahunchna hai mujhe rani tak aise lafzon ko bhi be-aib banaya hum ne jin ki jaez hi nahin hoti thi qurbani tak husn ka panw dabaati hai jahan shokh hawa ishq le aaya hai mujh ko isi virani tak 'faiz' hum log hain ek aisi kachehri ke wakil faujdari se pahunchte hain jo diwani tak