rukh nazar ka kabhi idhar na hua dil ko hasrat rahi jigar na hua hijr ki shab to jaan-lewa thi din judai ka bhi basar na hua us ke alfaz dil mein chubhte hain koi fiqra bhi be-asar na hua bazm mein sau maqam badle hain rukh tumhaara kabhi udhar na hua wasl likkha tha meri qismat mein be-kasi dekhiye magar na hua hijr ne dam pe ye bana di thi hum se nala bhi raat-bhar na hua umr-bhar us ki tak hi mein rahe dhyan apna idhar-udhar na hua us ke jalwe se tha jahan mamur ghair ka zikr bhul kar na hua us ko aashiq na samjho ai 'shankar' jo fida us ke nam par na hua