qabza mere badan pe meri khwahishon ka hai basti meri pe raj mere dushmanon ka hai qalb-o-nazar mein nur nae tajrabon ka hai ehsan kis qadar ye badalti ruton ka hai chehre se dhul chuki meri bedariyon ki rakh aankhon mein kuchh khumar abhi ratjagon ka hai tu so raha tha aur main dastak na de saka kitna khayal mujh ko teri rahaton ka hai shayad wo aaj meri tarah hi tha be-qarar ya ye bhi koi aks meri uljhanon ka hai chalti hai jis tarah se teri nabz tez tez andaz hu-ba-hu ye meri dhadkanon ka hai jin ke tufail sabz hai kohsar ka badan sailab wadiyon mein unhen barishon ka hai diwangi mein meri nahin hai kisi ka hath sara qusur us mein meri aadaton ka hai dil muztarib hai aur siyahat hai be-maza jadu abhi hamare saron par gharon ka hai kya jaanen kis tarah se use tai karenge hum darpesh ek safar jo ghane jangalon ka hai 'betab' apne haal pe matam na kyun karun mujh ko abhi to ranj luti saaton ka hai