rukh se parda jo utha rakkha hai tauba tauba tu ne hangama macha rakkha hai tauba tauba ek to aankhen teri yar hain khanjar jaisi us pe kajal bhi laga rakkha hai tauba tauba shaikh ji aap ko aakhir ye hua kya hai kaho jam hathon mein utha rakkha hai tauba tauba chand paise ke liye aap ne kyunkar sahab apna iman ganwa rakkha hai tauba tauba sidhe munh baat bhi karte nahin tum to hum se ghair ko pas bitha rakkha hai tauba tauba