rukh zulf mein be-naqab dekha main tira-shab aaftab dekha mahrum hai nama-dar-e-duniya pani se tahi habab dekha surkhi se tere labon ki hum ne aatish ko miyan-e-ab dekha qasid ka sar aaya us gali se name ka mere jawab dekha jaana ye hum ne wafat ke baad dekha jo jahan mein khwab dekha aafat ka nishana ho chuka tha main dil ki taraf shitab dekha ek waza nahin mizaj-e-mashuq gah lutf o gahe itab dekha aankhon se bahaaren guzrin kya kya kis kis ka na main shabab dekha kal mai-kade mein baghair saqi aundha qadah-e-sharab dekha kin us ne jafaen be-hisabi ek din na kabhu hisab dekha sine se nikal pada na aakhir dil ka mere iztirab dekha kya hogi falah baad-e-murdan jite to sada azab dekha aabaadi hai us ki 'mushafi' kam aalam ke tain kharab dekha