kya kahiye ki khuban ne ab hum mein hai kya rakha in chashm-siyahon ne bahuton ko sula rakha jalwa hai usi ka sab gulshan mein zamane ke gul phul ko hai un ne parda sa bana rakha jun barg khizan-dida sab zard hue hum to garmi ne hamein dil ki aakhir ko jala rakha kahiye jo tamiz us ko kuchh achchhe bure ki ho dil jis kaso ka paya chat un ne uda rakha thi maslak-e-ulfat ki mashhur khatarnaki main dida-o-danista kis rah mein pa rakha khurshid-o-qamar pyare rahte hain chhupe koi rukhsaron ko go tu ne burqa se chhupa rakha chashmak hi nahin tazi shewe ye usi ke hain jhamki si dikha de kar aalam ko laga rakha lagne ke liye dil ke chhidka tha namak main ne sau chhati ke zakhmon ne kal der maza rakha kushte ko is abru ke kya mel ho hasti ki main taq buland upar jine ko utha rakha qatai hai dalil ai 'mir' us tegh ki be-abi rahm un ne mere haq mein mutlaq na rawa rakha