ruKHsar aaj dho kar shabnam ne pankhuDi ke

rukhsar aaj dho kar shabnam ne pankhudi ke
kuchh aur bakhsh dale andaz dilkashi ke

isar-e-khud-shanasi tauhid aur sadaqat
ai dil sutun hain ye aiwan bandagi ke

ranj-o-alam mein kuchh kuchh aamezish-e-masarrat
hain naqsh kaise dilkash taswir-e-zindagi ke

farzi khuda banae sajde kiye buton ko
allah-re karishme ehsas-e-kam-tari ke

qalb o jigar ke tukde ye aansuon ke qatre
allah ras lae hasil hain zindagi ke

sahraiyon se sikhe koi rumuz-e-hasti
aabaadiyon mein akasr dushman hain aagahi ke

jaan-e-khulus ban kar hum ai 'shakeb' ab tak
talim kar rahe hain aadab zindagi ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close