sahil tamam ashk-e-nadamat se at gaya dariya se koi shakhs to pyasa palat gaya lagta tha be-karan mujhe sahra mein aasman pahuncha jo bastiyon mein to khanon mein bat gaya ya itna sakht-jaan ki talwar be-asar ya itna narm-dil ki rag-e-gul se kat gaya banhon mein aa saka na haweli ka ek sutun putli mein meri aankh ki sahra simat gaya ab kaun jae ku-e-malamat ko chhod kar qadmon se aa ke apna hi saya lipat gaya gumbad ka kya qusur use kyun kaho bura aaya jidhar se tair udhar hi palat gaya rakhta hai khud se kaun harifana kashmakash main tha ki raat apne muqabil hi dat gaya jis ki aman mein hun wahi ukta gaya na ho bunden ye kyun barasti hain baadal to chhat gaya wo lamha-e-shuur jise jaankani kahen chehre se zindagi ke naqaben ulat gaya thokar se mera panw to zakhmi hua zarur raste mein jo khada tha wo kohsar hat gaya ek hashr sa bapa tha mere dil mein ai 'shakeb' kholin jo khidkiyan to zara shor ghat gaya