rumuz-e-be-khudi samjhe na asrar-e-khudi samjhe badi shai hai agar apni haqiqat aadmi samjhe ziya andar ziya tanwir dar tanwir zau dar zau koi aakhir kahan tak raaz-ha-e-zindagi nahin hatti nazar anjam-e-alam se nahin hatti use koi khudi gardan le ya be-khudi samjhe bahut mushkil hai is mear ki rindi zamane mein jo laghzish ko gunah aur be-khudi ko zindagi samjhe jab ehsas-e-bulandi past kar deta hai fitrat ko ye mushkil hai phir insan aadmi ko aadmi samjhe junun ek manzil-e-be-nam ko tai karta jata hai kise fursat hai jo sud-o-ziyan-e-zindagi samjhe hamein to muddaton se justuju hai aise insan ki hamari zindagi ko bhi jo apni zindagi samjhe jala pati hai is se ruh dil bedar hota hai badi muddat mein hum 'ehsan' qadr-e-muflisi samjhe