zahr-e-chashm-e-saqi mein kuchh ajib masti hai gharq kufr o iman hain daur-e-mai-parasti hai shama hai sar-e-mahfil kuchh kaha nahin jata shola-e-zaban le kar baat ko tarasti hai zulf-e-yar ki zad mein dair bhi hai kaba bhi ye ghata jab uthti hai dur tak barasti hai aaj apni mahfil mein hai bala ka sannata dard hai na taskin hai hosh hai na masti hai kaun ja ke samjhae khud-parast duniya ko kya sanam-parasti hai kya khuda-parasti hai sakht jaan-lewa hai sadgi mohabbat ki zahr ki kasauti par zindagi ko kasti hai hum to rah ke dilli mein dhundte hain dilli ko puchhiye 'rawish' kis se kya yahi wo basti hai