rumuz-e-maslahat ko zehn par tari nahin karta zamir-e-admiyyat se main ghaddari nahin karta qalam shakh-e-sadaqat hai zaban barg-e-amanat hai jo dil mein hai wo kahta hun adakari nahin karta main aakhir aadmi hun koi laghzish ho hi jati hai magar ek wasf hai mujh mein dil-azari nahin karta main daman-e-nazar mein kis liye sara chaman bhar lun mera zauq-e-tamasha bar-bardari nahin karta mukafat-e-amal khud rasta tajwiz karti hai khuda qaumon pe apna faisla jari nahin karta mere bachche tujhe itna tawakkul ras aa jae ki sar par imtihan hai aur tayyari nahin karta main 'asi' husn ki aaina-dari khub karta hun magar main husn ki aaina-bardari nahin karta