chamak kaisi rukh-r-anwar mein hai zamana sara hi asrar mein hai lagaen apne fan-paron ki qimat ki ab har chiz hi bazar mein hai kai aankhen gadhi jati hain mujh mein koi rauzan dar-o-diwar mein hai raha hun muntazir jis ka azal se wahi chehra mere afkar mein hai nahin pahla sa ab rang-e-bahaaran ki virani gul-o-gulzar mein hai hadis dil bayan kaise ho 'asi' mujhe mushkil bahut izhaar mein hai