rup ka rasiya sukh ka khoji dil hai wo baalak nadan dar dar ghume bana bhikari mange khushiyon ka dan jalti bujhti shamon se puchho raat ke sine ka dard udte pakheru batlaenge suraj ki har muskan kaun chakhe ye pan ka bida kaun chadhae chilla nas nas tut tut rah jae jiwan wo kadi kaman us ka jism hai jaise hawa mein machalte dhan ki baali us ki shokh katili nazren jaise arjun ke ban kabhi kabhi to phul ki khushbu bhi kar deti hai zukaam kabhi kabhi to sharab bhi hoti hai jiwan ka wardan mol-tol kab karte hain bhala dil si shai ke gahak mahngi bike ya sasti utthe hain donon ek saman hum se bhi kuchh kah lo sun lo ai jaane wali raato hum bhi to hain is duniya mein do ghadiyon ke mehman