khum na ban kar khud-gharaz ho jaiye misl-e-saghar aur ke kaam aaiye abr-e-rahmat sunte hain nam aap ka khaksaron par karam farmaiye aap aahu-chashm hain aahu nahin hum se wahshat ki na lije aaiye sabr rukhsat ho to jaane dijiye be-qarari aae to thahraiye jauhar-e-tegh-e-nigah khul jaega munh na mere zakhm ka khulwaiye dil mein hai dikhlaiye tasir-e-ishq thandi sanson se unhen garmaiye sard aahen bharte hain jab hum 'nasim' kahte hain wo thande thande jaiye