ruswa ba-qadr-e-zauq-e-tamanna nahin hun main apne uruj par abhi pahuncha nahin hun main nairang-e-qaid-e-hasti-e-fani na puchhiye marta hun roz aur kabhi marta nahin hun main tasir hi bayan mein na ho jab to kya karun kya apna haal un ko sunata nahin hun main jo mujh ko dekhte hain tujhe dekhte hain wo shayad teri nigah ka parda nahin hun main kafi hai mujh ko ek nazar iltifat-e-dil sargarm-e-arzu-e-tamasha nahin hun main itna khayal-e-dost ne be-khud bana diya pahron ab apne hosh mein aata nahin hun main kyun hans rahe hain meri hansi par sab ai junun kya qabil-e-masarrat-e-duniya nahin hun main be-kar jaanta hun fusun-e-umid ko na-waqif-e-fareb-e-tamanna nahin hun main mayus ho chale hain malamat-garan-e-ishq wo waqt hai ki baat samajhta nahin hun main jalwa ba-qadr-e-zauq ho ai barq-e-husn-e-dost musa ka ham-khayal hun musa nahin hun main 'shaukat' kashish zarur hai is jalwa-gah mein mayus-e-jazb-e-zauq-e-tamasha nahin hun main