sach hai in ko mujh se kya aur mere afsane se kya kar diya diwana to ab kaam diwane se kya ishq ka aalam juda hai husn ki duniya juda mujh ko aabaadi se kya aur tum ko virane se kya meri hairat is taraf hai teri ghaflat us taraf dekhiye diwana ab kahta hai diwane se kya shama ki lau hai to us ka rukh bhi hai su-e-falak raushni ud jaegi mere siyah-khane se kya phir haram mein ho raha hai imtihan-e-ahl-e-dil sajda-ha-e-masiyat le aaun but-khane se kya jis tarah guzri hai ab tak ab bhi guzregi yunhi hum nahin badle to duniya ke badal jaane se kya mai-kada se khum mein aai khum se shishe mein dhali mai mere lab tak na aa jaegi paimane se kya aalam-e-hasti mein kyun lai hai ai umr-e-rawan aise virane ki raunaq aise diwane se kya din idhar duniya udhar aur beach mein waiz ka waz pher len 'shaukat' nazar hum apni paimane se kya