ruswa bhi hue jam patakna bhi na aaya rindon ko saliqe se bahakna bhi na aaya wo log meri tarz-e-safar jaanch rahe hain manzil ki taraf jin ko humakna bhi na aaya tha jin mein saliqa wo bhari bazm mein roe hum ko to kahin chhup ke sisakna bhi na aaya hum aise bala-nosh ki chhalkate hi guzri tum aise tunuk-zarf chhalakna bhi na aaya hum jag rahe the so abhi jag rahe hain ai zulmat-e-shab tujh ko thapakna bhi na aaya lalchai koi zulf na machla koi daman is bagh ke phulon ko mahakna bhi na aaya kam-bakht su-e-dair-o-haram bhag rahi hain gulshan ki hawaon ko sanakna bhi na aaya lahraati zara pyas zara kan hi bajte in khali katoron ko khanakna bhi na aaya