pukarti hai jo tujh ko teri sada hi na ho na yun lapak ki palatne ko hausla hi na ho tamam harf zaruri nahin hon be-mani ye aasman udhar jhuk ke tutta hi na ho mile the yun ki juda ho ke aise milte hain hamare bich kabhi jaise kuchh hua hi na ho har ek shakhs bhatakta hai tere shahr mein yun kisi ki jeb mein jaise tera pata hi na ho jo hota jata hai mayus din-ba-din tujh se zara qarib se dekh is ko aaina hi na ho jahan ko chhan ke baitha hai is tarah 'shahid' tamam umr mein jaise kabhi chala hi na ho