ruswa ho jo duniya mein wo mai-khwar hamin hain sab aabid-o-zahid hain gunahgar hamin hain ab khubi-e-qismat na kahen is ko kahen kya taqsir kisi ki ho khatawar hamin hain laghzish pe hamari kabhi tanqid na karna ai be-khabaro sahib-e-kirdar hamin hain un ki nigah-e-naz pe koi nahin ilzam sach ye hai mohabbat ke khata-kar hamin hain ek phul bhi daman ko mayassar nahin aata mana ki har ek phul ke haqdar hamin hain na-qadri-e-arbab-e-hunar dekh ke 'shair' jo fan se pasheman ho wo fan-kar hamin hain