ruswa hue baghair na naz-e-butan utha jab ho gae subuk to ye bar-e-giran utha mani mein kar talash maash-e-dil-o-dimagh haiwan-sifat na lazzat-e-kaam-o-dahan utha gar khanda yaad aae to sine ko chaak kar gar ghamza yaad aae to zakhm-e-sinan utha ya aankh utha ke chashm-e-fusun-saz ko na dekh ya umr-bhar masaib-e-daur-e-zaman utha us anjuman mein jaiye ab kis umid par hum baithne na pae ki wo bad-guman utha be-yaad-e-dost umr-e-girami na sarf kar us ganj-e-shaegan ko na yun raegan utha wasl-o-firaq wahm sahi dil-lagi to hai phir hum kahan jo parda-e-raaz-e-nihan utha parwane ki tapish ne khuda jaane kan mein kya kah diya ki shama ke sar se dhuan utha