salamat hai sar to sirhane bahut hain

salamat hai sar to sirhane bahut hain
mujhe dil-lagi ke thikane bahut hain

jo tashrif lao to hai kaun mane
magar khu-e-bad ko bahane bahut hain

asar kar gai nafs-e-rahzan ki dhamki
ki yan mard kam aur zanane bahut hain

muattal nahin baithte shaghl wale
shikar-afganon ko nishane bahut hain

karo dil ke virane ki kunj-kawi
dabe is khandar mein khazane bahut hain

na ai shama ro ro ke mar sham hi se
abhi tujh ko aansu bahane bahut hain

hua meri rudad par hukm aakhir
ki mashhur aise fasane bahut hain

nahin rail ya tar barqi pe mauquf
chhupe qudrati kar-khane bahut hain

bache kyunki be-chaara murgh-e-gurasna
ba-kasrat hain dam aur dane bahut hain

bas ek aastana hai sajde ke qabil
zamana mein go aastane bahut hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close