rut badle to aap badal le sab bewhaar hawa pag pag sang rachae mausam ke anusar hawa ped gharaunde lath aur khambe hain khashak saman bhairon nach rahi hai pahne nag ka haar hawa us ki girhen khole badh kar koi dhyan ki lahr man mein liye phirti hai sadiyon ke asrar hawa is virane mein bhi khulte pag pag ram ke phul dil se kabhi go kar bhi guzarti khush-raftar hawa kaun batae kab kis ki is rah mein shamat aae sunte hain andhe ke hath ki hai talwar hawa hum ne to is lamhe mein bhi rut ka sameta dard rawish rawish jab rawan-dawan thi sarsar-kar hua yun bhi hum ne jhela hai mausam ka jabr 'suhail' khushbu ki kabhi lahr bani kabhi tegh ki dhaar hawa