ek duje ko aaina dikhaen chalo aao ye aakhiri taklif uthaen chalo aao yun hai ki munafea ka to imkan hi nahin hai nuqsan ka andaza lagaen chalo aao muddat se khandar dil ka bhi viran pada hai kuchh der yahin khak udaen chalo aao hain jal to yaron ne bichhae bhi par ab ke dushman ki chali chaal mein aaen chalo aao us tak hai safar lakh sarabon se muzayyan 'shakir' na kahin khud se bhi jaen chalo aao