ruTh kar aankh ke andar se nikal jate hain

ruth kar aankh ke andar se nikal jate hain
ashk bachchon ki tarah ghar se nikal jate hain

sabz pedon ko pata tak nahin chalta shayad
zard patte bhare manzar se nikal jate hain

is guzargah-e-mohabbat mein kahan aa gaya main
dost chup-chap barabar se nikal jate hain

tum tarashe hue but ho kisi mehrab ke bich
hum zawaed hain jo patthar se nikal jate hain

sahili ret mein kya aisi kashish hai ki guhar
sip mein band samundar se nikal jate hain

main tere hijr se niklunga to mar jaunga
hae wo log jo mehwar se nikal jate hain

aakhirash subh-e-qayamat ki azan aati hai
aur hum sham ke lashkar se nikal jate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close