zist be-waada-e-anwar-e-sahar hai ki jo thi zulmat-e-bakht ba-har-rang-o-nazar hai ki jo thi ishq barbaad-kun-e-rahat-e-dil hai ki jo tha shokhi-e-dost ba-andaz-e-digar hai ki jo thi aaj bhi koi nahin puchhta ahl-e-dil ko aaj bhi zillat-e-arbab-e-nazar hai ki jo thi khud-parasti ka riwaj aaj bhi hai aam ki tha rasti aaj bhi mohtaj-e-asar hai ki jo thi aaj bhi jazba-e-ikhlas pareshan hai ki tha aaj bhi dida-wari khak-basar hai ki jo thi aaj bhi ilm-o-hunar ki nahin koi waqat ab bhi na-qadri-e-ashab-e-hunar hai ki jo thi aaj bhi mehr-o-wafa ki nahin qimat koi aaj bhi manzilat-e-kisa-e-zar hai ki jo thi kaamrani pe hai nazan hawas-e-hech madar aashiqi aaj bhi ba-dida-e-tar hai ki jo thi ruh-e-ikhlas to dar-band hai be-pursish-e-haal midhat-e-husn sar-e-rahguzar hai ki jo thi saf-goi ko samajhte hain yahan aib ab bhi zehniyat aaj bhi aaluda-e-shar hai ki jo thi asp-e-tazi ko mayassar nahin chaara 'shoala' aur tan-zebi-o-araish-e-khar hai ki jo thi